Friday 26 March 2010

JAI HANUMAN LALA KI AARTI

Aarti Ki Jai Hanuman Lala Ki, Dushat Dalan Ragunath Kala Ki.
Ja Ke Bal Se Giriver Kaanpe, Rog Dosh Ja Ke Nikat Na Jaanke.

Anjani Putra Mahabaldaye, Santan Ke Prabhu Sada Sahaye.
De Beeraha Raghunath Pathai, Lanka Jaari Siya Sudhi Laiye.

Lanka So Kot Samundra Se Khaiy, Jaat Pavan Sut Baar Na Laiye.
Lanka Jaari Asur Sab Maare, Siya Ramji Ke Kaaj Sanvare.

Lakshman Moorchit Parhe Sakare, Aan Sajeevan Pran Ubhaare.
Paith Pataal Tori Yamkare, Ahiravan Ke Bhuja Ukhaare.

Baayen Bhuja Asur Dal Mare, Daayen Bhuja Sab Santa Jana Tare.
Surnar Munijan Aarti Utare, Jai Jai Jai Hanuman Uchaare.

Kanchan Thaar Kapoor Lo Chhai, Aarti Karat Aajani Mai.
Jo Hanumanji Ki Aarti Gaave, Basi Baikuntha Amar Padh Pave.

Lanka Vidvance Kiye Ragurai, Tulsidas Swami Aarti Gaaie.
Aarti Ki Jai Hanuman Lala Ki, Dushat Dalan Ragunath Kala Ki.

Pawan Tanay Sankat Haran Managal Moorti Roop,
Ram Lakhan Sita Sahit Hridaya Bhasu Sur Bhoop

OM JAI LAXMI MATA AARTI

Om Jai Laxmi Mata, Maiya JaiLaxmi Mata,
Tumko nis din sevat, Hari, Vishnu Data
Om Jai Laxmi Mata
Uma Rama Brahmaani, Tum ho Jag Mata,
Maiya, Tum ho Jag Mata,
Surya ChanraMa dhyaavat, Naarad Rishi gaata.
Om Jai Laxmi Mata.
Durga Roop Niranjani, Sukh Sampati Data,
Maiya Sukh Sampati Data
Jo koyee tumko dhyaataa, Ridhee Sidhee dhan paataa
Om Jai Laxmi Mata.
Jis ghar mein tu rehtee, sab sukh guna aataa,
Maiya sab sukh guna aataa,
Taap paap mit jaataa, Man naheen ghabraataa.
Om Jai Laxmi Mata
Dhoop Deep phal meva, Ma sweekaar karo,
Maiya Ma sweekaar karo,
Gyaan prakaash karo Ma, Moha agyaan haro.
Om Jai Laxmi Mata.
Maha Laxmiji ki Aarti, nis din jo gaavey
Maiya nis din jo gaavey,
Dukh jaavey, sukh aavey,
Ati aananda paavey. Om Jai Laxmi Mata

JAI GANESH AARTI

Jai ganesh jai ganesh
Jai ganesg deva
Mata jaki parwati
Pita maha deva

Jai ganesh jai ganesh
Jai ganesh deva
Mata jaki parwati
Pita maha deva

Ek dant daya want
Char bhuuja dhari

Ek dant daya want
Char bhuuja dhari

Mathe sindor shoye
Muse ki sawari
Pan chadhe Phool Chadhe
Aur Chadhe Mewa
Laduan ko bhog lage
Sant kare seva

Monday 22 March 2010

JAI AMBE GAURI AARTI

Jai Ambe Gauri maiya, jaa Shyama Gauri
Nishdin tumko dhyavat, Hari Brahma Shivji,
Jai Ambe....

Mang sindur birajat, tiko mrigmad ko,
ujjvalse dou naina, chandravadan niko,
Jai Ambe....

Kanak saman kalevar, raktambar raje,
Raktapushp galmala, kanthhar saje,
Jai Ambe....

Kehari vahan rajat, khadg khappar dhari
sur nar munijan sevat, tinke dukhahari,
Jai Ambe....

Kanan kundal shobhit, nasagre moti
Kotik chandra divakar, samrajat jyoti,
Jai Ambe....
Shumbh- nishumbh vidare, MahishaSur ghatia
Dhumra-vilochan naina, nishdin madmati
Jai Ambe....

Chand-mund sanghare, shunit beej hare
Madhu Kaitabh dau mare, sur bhayheen kare
Jai Ambe....

Brahmani, Rudrani tum Kamala Rani,
Agam-nigam bakhani. turn Shiv patrani,
Jai Ambe....

Chaunsath yogini gavat, nritya karat Bhairon,
Bajat tab mridanga, aur bajat damru,
Jai Ambe...

Tum ho jag ki mata, tum hi ho bharta,
Bhaktan ki dukh harta, sukh sampati karta,
Jai Ambe....

Bhuja char ati shobhit, var mudra dhari,
Manvanchhit phal pavat, sevat nar nari,
Jai Ambe....

kanchan thal virajat, agaru kapur bati
Malketu men rajat, kotiratan jyoti,
Jai Ambe....

Shri ambe ji ki aarti, jo koi nit gave,
kahat Shivananda swami, sukh sampati paave
Jai Ambe....

OM JAI JAGDISH HARE AARTI

OM JAI JAGDISH HARE AARTI

Om Jai Jagdish Hare
Swami Jai Jagdish hare
Bhakt jano ke sankat
Das jano ke sankat
Shan men door kare
Om jai Jagdish hare. 1

Jo dhyave phal pave
Dukh bin se man ka
Swami dukh bin se man ka
Sukh sampati ghar ave
Swami, Sukh sampati ghar ave
Kasht mite tan ka
Om jai Jagdish hare. 2

Mata pita tum mere
Sharan Paoon main kiski
Swami sharan paoon main kiski
Tum bin aur na dooja
Prabhu bin aur na dooja
As karoon main jiski
Om jai Jagdish hare. 3

Tum pooran Paramatam
Tum Antaryami
Swami tum Antaryami
Par Brahm Parameshwar
Swami, Par Brahm Parameshwar
Tum sabke swami
Om jai Jagdish hare. 4

Tum karuna ke sagar
Tum palan karta
Swami tum palan karta
Main moorakh khal khami
Main sevak tum swami
Kripa karo Bharta
Om jai Jagdish hare. 5

Tum ho ek agochar
Sab ke pran pati
Swami sab ke pran pati
Kis vidhi miloon Gosai
Kis vidhi miloon Dayalu
Tum ko main kumati
Om jai Jagdish hare. 6

Deen bandhu dukh harta
Thakur tum mere
Swami Thakur tum mere
Apne hath uthao
Apni sharani lagao
Dwar paoa hoon tere
Om jai Jagdish hare. 7

Vishay vikar mitavo
Pap haro Deva
Swami pap haro Deva
Shradha bhakti baohao
Swami, Shradha bhakti baohao
Santan ki seva
Om jai Jagdish hare. 8

Om jai Jagdish hare
Swami jai Jagdish hare
Bhakt jano ke sankat
Das jano ke sankat
Shan men door kare
Om jai Jagdish hare. 9